Jab main chota tha
Jab main chota tha school ka rasta lamba tha,
yaad hai ki halwai, toy shop, icecream, chandni chat, kulfi kya nahi tha
Ab mobile shop, internet cafe aur mall hain,
par wo shaan nahin jab main chota tha
Shayad duniya simat rahi hai
Shayad duniya simat rahi hai
Jab main chota tha shamen bahut lambi hua kerti thi
ghanton patang bazi, wo cycle race, wo chor-sipahi, gilli-danda
thak kar choor ho jaana
Ab sham nahin hoti, din dhalta hai aur sidhey raat hoti hai
Shayad waqt simat raha hai
Jab main chota tha tab dosti bahut gahri hua kerti thi
dinbhar toli banakar ghumna, doston ke ghar khana khana
wo larkiyon ki baten, wo saath rona, saath sona, saath khaana
Dosti kahaan hai ab? rahon par milte hain 'Bye' kertey huye badh jaten hain
naye saal, janmdin, holi, diwali bas 'sms' aate hain
Shayad rishtey badal rahey hain
Jab main chota tha tab khel bhi ajeeb hua kerte the
chupan-chhupai, chor-sipahi, langri taang, tipi tipi top top
Ab internet, office, T.V. se fursat hi nahi milti
Shayad zindgi badal rahi hai
Par sab se bara sach na badla
jo 'shamshan bhumi' ke bahar board par likha hai
''Manzil to yehi thi, bas zindgi guzar gai aate aate".
- Anonymous
Found on a forum where it was not written properly, hence moved to a better place in a better form :).
No comments:
Post a Comment